LYRIC

Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics by Lata Mangeshkar, Mukesh, from the movie “Shor”, latest hindi song 2022, music has been given by Laxmikant Pyarelal, and ek pyar ka nagma hai song lyrics are penned by Santosh Anand.

Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics

Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki rawaani hai
Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki rawaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai

Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki rawaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai

Kuch paakar khona hai
Kuch khokar pana hai
Jeevan ka matlab toh
Aana aur jana hai

Do pal ke jeevan se
Ek umar churaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai

Tu dhaar hai nadiya ki
Main tera kinaara hoon
Tu mera sahaara hai
Main tera sahaara hoon

Aankhon me samandar hai
Aashaon ka pani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka nagma hai

Toofaan toh aana hai
Aakar chale jana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka
Chhakar dhaal jana hai

Parchhaiyan reh jaati
Reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai

Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki rawaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyar ka nagma hai


SONG INFO:

Song: Ek Pyar Ka Nagma Hai
Singer: Lata Mangeshkar, Mukesh
Music: Laxmikant Pyarelal
Lyrics: Santosh Anand


Added by

lyricsmin

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO