LYRIC

Phir Milenge Lyrics by Faisal Kapadia & Young Stunners, from the album “Coke Studio Season 14“, latest hindi song 2022, music has been given by Xulfi, and phir milenge song lyrics are penned by faisal kapadia, young stunners.

Phir Milenge Lyrics

Dil ke kisi kone mein hi
Yaadein teri maine
Chhupa rakkhi hai
Chhupa rakkhi hai

Bhoola nahi, tu bhi mujhe
Baatein yoon hi maine
Banaa rakkhi hai
Banaa rakkhi hai

Samaaya tha dil mein woh aise
Anjaane do milte phir kaise
Tum baarish mein bheege hum behta
Samandar kinare joh rehta

Umeedein laga ke woh baithe
Jo apno ki ghum woh bhi sehtay
Yeh duniya toh chahti ke behkain
Yeh baarish yeh khushboo se mehkain

Mile dard bohot
Kabhi tu bhi mil

Dil mein rehti nahi
Jaanam tu hi dil
Aaj phir aayi na tu
Intezaar raha mustakil

Taveel hai gham ki sham
Kahani mohabbat ki mukhtasir
Nazar sa nhi karo zara si
Qadar karo meri kala ki

Jaanay wale chalay jaate hain
Kismat yehi to qabu main nahi aati
Chhaoon mein dhoop ki tarah
Jism main rooh ki tarah

Guzray dimagh se yaad teri
Lagatar lahu ki tarah
Ab khaye jaayein yеh dar-o-deewaar
Mujhe kisi bhook ki tarah

Tere bina nahi ghar bhi ghar
Akailay mеhsoos yeh kiya
Teri kami puri huyi na
Aaj bhi rahi aik dil mein khala

Khiza bhi aayi par
Waqt aur zulm ka baagh bhi
Raha na hara

Tera hi aitbaar baki saari
Duniya pe bharosa nahi bana
Tu muj main dekhay insaan
Baaki saari duniya ko dikhe bas kalaa

Tu hai!, Main hu!
Aur gehri khamoshi
Hum dono hi nahi suntay
Joh kuch bhi yeh kehti hogi

Gali yeh dil ki tang
Ab tera us main aana na ho
Dil ke mohalle mein
Ab teray mera jana na ho

Tu hai!, Main hoon!
Aur sirf fasle hain
Raapte munqata aur
Muntizir hum aapke hain

Raaz hee nahi raazdaar bhi
Kiya maangte hum
Khamiyo pe parde log
Kamhi yahan daaltay hain

Hum sihanay rakh ke khwaab
Raatein jaagte hain
Hum tumhein tum se
Bohot behtar jaante hain

Sargoshi mein loun
Naam tera
Tere liye maine
Haaya rakhi hai

Haaya rakhi hai

Bhoola nahi
Main bhi tujhe
Mere liye, maine
Saaza rakhi hai
Saaza rakhi hai

Zindagi pe
Likh chuke hai falsafe
Itni din lagi ki
Khudko hi na pardh saake

Beqadar tu darbadar
Yun bekhabar hi chal pade
Yaadein kheechti hai
Aage hi na bardh saake

Saadhgi ban chuki hai badhzhi
Muntazar khade usi mukaam pe
Hum aaj bhi
Aaj phir tu aayi nahi

Aaj phir tu shayari
Aaj phir tu ek gumaan
Yaad teri khaye ghi
Oh thi meri razaa

Ab duaa ban gayi
Ae mere khuda kiya
Saaza bard gayi
Main jaagun saari raat
Woh subhah ban gayi

Garaj ke baraastay
Ab yeh baadal nahi

Tu mere har dard ki davah
Main dhoop mein kharda
Mehsoos kar zara
Mausam badaltay ve dekhain hain logoun ke
Badaltay roup ki tarah

Shamil hain ab teri dewaron mein
Milain gai
Khwabon mein rehtay
Khayalon mein ulje
Sawalon mein
Kya tum pehchano gay
Ya phir mehmanoun se kaisey bharosha
Karain ab insanoun pe?

Tuhi khwaab, tuhi meri khwaish
Tuhi ehsaas
Main bayabaan tu baarish
Milenge phir kabhi
Umeed bhi tu aas bhi
Khuli kitaab karte
Zakhmohn ki numawish

Khaani kaha
Khatam hoti hai
Poori nahi
Har kasam hoti hai

Phir milenge kabhi
Ajnabi ki tarah
Iss aas mein
Dil ne
Subah rakhi hai
Subah rakhi hai
Subah rakhi hai


SONG INFO:

Song: Phir Milenge
Singer: Faisal Kapadia & Young Stunners
Album: Coke Studio Season 14
Music: Xulfi
Lyrics: Faisal Kapadia, Young Stunners
Label: Coke Studio


Added by

lyricsmin

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO