LYRIC
Rozaana Lyrics by JalRaj, and Rozaana song lyrics are penned down by JalRaj.
Rozaana Lyrics
Gustakh dil
Dheema pada hai
Akhir kya sochta
Kya chahta hai
Zaahir kar de zara
Ae dil yun na der kar
Naadan dil
Labb pe pade hain taale
Kaise kahein kitna isey sambhaalein
Hum jee rahe hai bas tumhe dekh kar
Hoke yunhi besabar
Tanhaaiyon mein raat bhar
Rozana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aagey
Mera naam likhta hoon
Rozana
Kyun khamakha hi main
Takiye tale teri
Tasveer rakhta hoon
Bheege pade
Hain khwahishon ke baadal
Besudh khade
Manamaniyo mein aakar
Roke hue har lafz ko honth par
Lamhein ginein
Ab ungliyon pe chhupkar
Dhadkan meri bhi puchti hain aksar
Gum hain kahan ae dil zara shor kar
Hoke yunhi bekhabar
Khamoshiyon mein raat bhar
Rozana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aagey
Mera naam likhta hoon
Rozana
Kyun khamakha hi main
Takiye tale teri
Tasveer rakhta hoon
Rozana
Jab aaina dekhoon
Tere liye hi tho
Thoda sawarta hoon
Rozana
Yun rubaroo hoke
Tere khayalon se
Har pal guzarta hoon
Hoke yunhi befikar
Bechainiyon mein raat bhar
Rozana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aagey
Mera naam likhta hoon
Rozana
Kyun khamakha hi main
Takiye tale teri
Tasveer rakhta hoon
Rozana
Jab aaina dekhoon
Tere liye hi tho
Thoda sawarta hoon
Rozana
Yun rubaroo hoke
Tere khayalon se
Har pal guzarta hoon
SONG INFO:
Song: Rozaana
Singer: JalRaj
Lyrics: JalRaj