LYRIC

Tumheinn Apna Banaana Hai Lyrics by Salman Ali, from the album “Himesh Ke Dil Se The Album”, music has been given by Himesh Reshammiya, and Tumheinn Apna Banaana Hai song lyrics are penned down by Himesh Reshammiya.

Tumheinn Apna Banaana Hai Lyrics

“Na din mein chain, na raat ko aaraam
Subah shaam sirf, tera hi naam”

Aaa…aaaa….

Tumhein dil mein basaana hai..
Tumhein dil mein basaana hai..
Tumhein apna banana hai..
Tumhein apna banana hai..

Tumse ishqq nibhaana hai
Tumhein apna banana hai
Tumhein apna banana hai

Tere bin hai jeena mera behwajah
Meri aashiqui ka hai tu aasra
Aey yaara hai jabse mujhe tu mila
Bas teri hi yaadon ka hai silsila

Tumhein dil mein basaana hai
Tumhein apna banana hai
Tumhein apna banana hai

Woh teri meri mulaaqaaton ka mausam
Jaata nahi hai mere dil se wo aalam
Banke nishaani jal raha hai seene mein
Har pal tera ishq aey mere humdum

Tere vaaste hai meri arziyaan
Hai tujhse meri saari manmariziyaan
Tere hi liye meri sarghoshiyaan
Tu karde muqammal meri yaariyan

Tumhein dil mein basaana hai
Tumhein apna banana hai
Tumhein apna banana hai

Tumhein dil mein basaana hai
Tumhein apna banana hai
Tumhein apna banana hai

Teri gali mein jabse duniya basayi
Aankhon mein saagar nami dil pe hai chhayi
Bujhh na sakega teri yaadon ka laawa
Saanshon mein khushboo teri hai samaayi

Meri yeh tadap yeh meri tishnagi
Hai tujhse hi ab toh meri bandgi
Zaraa jhaak k dekh le dil mein tu
Nazar aayegi meri deewangi

Tumhein dil mein basaana hai
Tumhein apna banana hai
Tumhein apna banana hai

Tumhein dil mein basaana hai
Tumhein apna banana hai
Tumhein apna banana hai


SONG INFO:

Song: Tumheinn Apna Banaana Hai
Singer: Salman Ali
Music: Himesh Reshammiya
Lyrics: Himesh Reshammiya


Added by

lyricsmin

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO